A short poem that I believe reflects the mindset of many women.
Main ek aurat hoon
aur ek wujood bhi hoon
ek beti,behan,biwi,maa,bahu hoon
in sab ke bawjood main bhi hoon
main bhi kuch hoon.
sirf khidmaat ke liye hi nahi
khawab dekhne ke liye bhi hoon
Kajal,lipstick powder in sab ko mitakar
ek khuda ki maqlooq main hoon.
haan main bi kuch hoon
Ek kudiya nahi jo ek hi size main banayi jaon
Duniya main ek jaan lati hoon main
usse sinj thi hoon bada karti hoon
Toh kaise main waise hi rahoon
Usse paal ke bade karne ke baad bhi
main kuch hoon
Mera wujood meri aulaad ya mera shuhur nahi hosakta
Meri pehchaan ek biwi behan ya beti hi nahi hosakti
kyunki mujhe pehchan mere rabb ne diya hai
jo donno jahan ka qaliq hai
Toh meri pehchan ek bande se kaise jod sakti hai
Meri pehchan ek MUSLIMAH HAI
Uss Rabb ki ibadaat main hai
JO baar baar mujhe yaad dilata hai ki
main bhi kuch hoon